Suno k raigzaar_e_umr ka ye aakhri zarra
Meri be-jaan hatheli se phisalta ja raha hai ab
Meri guzri musafat ki thakan ab urrh aai hai
Mere qaasid... Suno...
Jaane se pehle itna kehna hai
Mere ujrre shahar k un gali koochon main jao to
Jahan bachpan bitaya tha... Jahan sub kuch ganwaya tha
To us weeran khandar ko... Payaam_e_aakhri dena
Wahin aangan main dayen haath pe... Aik pairr dekho ge
Usi boorrhe shajr k sin-raseeda se badn per tum
Mere be-rung haathon ki lakeeron ki tarah... Aik jaal dekho ge
Usi peepal ki chhaon main
Kisi masoom k dil ne... Kayi sapne sajaye thay
Kisi ki aankh k aansoo... Kisi dil ne bahaye thay
Kisi ki jheel aankhon ne kayi saagar lutaye thay
Bohat narmi se us peepal ko chho ker... Itna keh dena
K ab aankhon k ye dariya.. Kahin saagar nahi hote
Muqqadar jin ka souta hai... Kabhi phir wo nahi sote
Usay kehna mere qaasid...
Jinhon ne umr saari teri chhaon main basar ker di
Wo aakhir pal tumhare paas aa ker... Kuch na keh paaye
Lipat ker tum se ro lain ge... Ager duniya main reh paaye
Suno qaasid...
Wahan se chand qadam k faasle per... Aik chokhat hai
Wahi chokhat hai ye pyaare...
Jahan sajde kiye hum ne... Jahan per zindagi haari
Jahan kuch pal jiye hum ne... Jahan per jaan yeh waari
Jawaan-margi per meri, shahar yeh matam-kanaan ho ga
Magar...
Us aik chokhat per... Ajab sa he samaan ho ga
Wahan raqsaan sabhi chehron pe kuch ranaiyan hon gi
Wahan bajti chaharon soo... Bohat shehnaiyan hon gi
Wahan jis ki nazr main jeet jaane ki thakawat ho
Magar...
Us dil-nasheen chehre pe... Gehri muskurahat ho gi
Samajh lena mere qaasid...
Yehi qaatil mera thehra
Meri aankhen ye le jao... Mera ye kaam ker dena
Usay jee-bhar k takna tum... Meri aankhon main bhar lena
Usay chupke se keh dena
Tumhari jeet ki khaatir...
Yeh jeewan jis ne haara hai
Nahi tum ho saki us ki...
Wo mar ker bhi tumhara hai
Nahi... Balke... Mere qaasid...
Usay tum kuch nahi kehna...!!!
Post a Comment