Youn Tere Husun Ki Tasveer Ghazal Mein Aaye,
Jaise Balqees Sulaiman K Mehel Mein Aaye,
Jabar Se Aik Howa Zaiqa-e-Hijar-O-Wisal,
Ab Kahan Se Wo Maza Sabar K Phal Mein Aaye,
Hamsafar Thi Jahan Farhad K Taishe Ki Sada,
Wo Maqamat Bhi Kuch Sair-o-Jabal Mein Aaye,
Ye Bhi Aaraish-e-Hasti Ka Taqaza Tha K Hum,
Halqa-e-Fikr Se Maidan-e-Amal Mein Aaye,
Har Qadam Dast-o-Greban Hai Yahan Khair Se Shar,
Hum Bhi Kis Marka-e-Jang-o-Jadal Mein Aaye,
Zindagi Jin K Tasawur Se Jila Pati Thi,
Haye Kia Log Thay Jo Dam-e-Ajjal Mein Aaye..
Post a Comment