Eid ka Chand
Eid ka chand dekha to 
Meri tanha hatheliyon par
Aansu se aik Duaa saji
keh... KHUDAYA!!!
Agly bras meri zindgi me
Ya to tanha Eidain baqi na rahin
ya phir...
Zindgi ke yeh sasty lamhe saath choor jain...!!!


Eid Ka Din
Eid ka din hai aaj to galy lim ly zalim
Rasm-e-dunya bhi hai moka bhi hai dastoor bhi hai,
Ishq is tarha keh ghustak taza na kary
Husn mazdoor bhi, majboor bhi, mazoor bhi hai,
Ghroor-e-husan keh sadke Muhabbat youn nhi hoti
Bari mehfil me Zahir Dil ki wehshat youn nhi karty,
yeh mana tum Hseen ho tumhain haq hai shrarat ka
kisi ki jan peh ban jaey shrarat youn nahi karty,
Kuch apny Husan ki Kheraat de do hum faqeeron ko
Kisi sail ko apny dar sy youn rukhsat nhi karty,
Haya-o-sharm ko hum husn ka zewar smajhty hain
Yeh zewar luta ke di jaey sakhawat youn nhi karty,
Tumhari ik nazar par fesla hai zindgani ka
Maseha ho ke bemaron se ghaflat youn nahi karty,
Aap ny jo kaha wahi theek sahi
Mera kehna bhi to kuch bura to nhi
Keh Eid ka din aaj to galy mil ly
Rasm-e-Dunya bhi hai, Moka bhi hai, Dastor bhi hai...!!!

Is Eid Par...
Is Eid par
Woh mere saath nhi
Magar uski yadain, uski batain
Sabb mujhy yaad hain
Usny bhi mujhy yad kya hoga
Phir mery khayalon me khoey huey
Tasawur ke lamhe me
Dhery se kaha hoga
Zaid, Eid Mubarak...!!!




Mainy chaha tujhy Eid pe kuch pesh karon
Jis me ehsaas ke sabb rang hon roshan roshan
Jis me Aankhon ke tarashe huey moti lakhon
Jis me shamil ho mere alb ki Dharkan Dharkan...!!!



Is Pe Konsa Tohfa Bhejon?
Mery sathi tujhy Eid par konsa tohfa bhejon?
Dua Bhejon ya Muhabbat ka khazana bhejon?,
Ya apni nakam khwahishat ka rona bhejon?
Ya teri Deed ki hasrat bhari tamanna bhejon?,
Ya umar drazi ki Duaa bhejon?
Ya Shadmani Zindgi ka sandesa bhejon?,
Ya apni be mool Chahat ka tohfa bhejon?
Ya bety huey lamhon ki Sada bhejon?,
Ya tumhari na-rasayon ka Shkiwa bhejon...???



Behti Eid
Eid abb ke baras jo aai ho
ranj-o-gham ke tohfy smait lai ho
Sach bata karoron gharon ke malby peh
Kis Aziyat se Tum na guzrogi?
Yaqeen Wasiq hai mujhko, Tum hans na sakogi
Ro do gi
Unchy panyon se Zindgi ke rang dhal chuky hain jabb
Be-Hisi ke sare chehry khul chuky hain jabb
Hazar-ha Jugno bujh ke rull chky hain to
Bata apny daman me kitni roshnyan bhar lai ho?
Ajab Kisamparsi ka aalam hai
Yeh waqat kitna Zalim hai
Muysar Dewaar ka saya nhi
aesy me teri aamad se mujh pe mnkshaf hua
Na Mehrban Thehri Aab-o-Dana hawa
Eid abb ke baras jo aai ho...!!!



Eid ke Chand kahian aur Ujaly le ja
Mera weeran basera hi mujhy acha hai,
Eid ka din hai nazar shadmaan hai dil khush hai
Aap aain to Khishi Eid ki dobala ho,
Dekha Hilaal Eid to aaya tera khyal
Woh aasman ka chand hai tu mera chand hai,
Saghar bany huey yaan Gul-o-Lala baagh ke
Fitrat ke medy me hain sabb meksaar-e-Eid,
Aey meri Eid mujhy Jazba-e-nakam nah de
Hasrat-o-Yaas me Doba huaa Pegham nah de,
Nakhal-e-sayadar ke jarh se ukhar jane ke baad
Aaj pehli Eid hai tujhse bichar jany ke baad,
Eid to abb Gham ka pegham hai apne liey
Eid ki Khushyan Mubarak tumko hon Jan-e-Wafa...!!!



Chiraagh Dil ke jalao ke Eid ka din hai
Trany jhoom ke gaao ke Eid ka din hai,
Ghamoon ko Dil se bhulao ke Eid ka din hai
Khushi se bzam sjo ke Eid ka din hai,
Hazoor uske karo abb Salamti ki Duaa
Sar-e-Namaz jhukao ke Eid ka din hai,
Sabb hi murad ho pori harr ik sawali ki
Duaa ko haath uthao ke Eid ka din hai...!!!



Eid ka Chand
Chaak daman ko dekha to mila Eid ka Chand
Apni tasveer kahan bhool gaya Eid ka Chand,
Unke aabro-e-khameeda ki tarha teekha hai
Apni aankhon me barhi dair chubha Eid ka Chand,
Door weraan baseery me Diya ho jesy
Gham ki deewar se Dekha to laga Eid ka Chand,
Ly ke Halaat ke Sehraaon me aa jata hai
Aaj bhi Khald ki Rangeen fiza Eid ka Chand,
Talkhiyan barh gai jab Zeest ke pemane me
Ghool ke dard ke maron ne Piya Eid ka Chand,
Chashm toWusat-e-Aflaq me Khoi Saghar
Dil ne Ik aur jaga Dhond liya Eid ka Chand...!!!

Post a Comment

 
Top