Shayron ki ye mahfil meri duniya hi na thi
Tumne e mere yaar muje ye kya baana diya,

Na pyar tha jindgi me na ehsaas the koi

Tere ehsaason ne jaane kya jaadun kiya mujhpe,

Bewafaai se tere kabhi anjaan main na thi

Par khushiyon pe teri sada kurbaan thi main,

Waqt ek vo bhi tha jab shabdon ka ye manjar

Na bus ka tha mere,na judi thi main inse,

Bahoon me apni thaame tum laaye muje yaha par

Ghar ban gaya vo mera, Jo mahfil thi teri,

Sukun ke vo pal the, Jo teri yaadon me bitaati

Bus tujhiko hi main padhti, Tujhi ko sunaati,

Kya khub the vo din bhi pahle tere vo pyar ke afsaane

Khandala ki un waadiyon me main tujhko sunaati,

Aankhon se girte aansun, sahmi meri awaaj ko main tujse chipaati

Sunna mere ishq ko vo gujra taraana, soch apne armaan main khud me chipaati,

Tu to chala gaya apni ye yaadein deke mujhko

Paane ki laalsa thi bus ek parri ki jo tujko,

Aayi thi jab sang main tere is mahfil me

Baahon me thi main tere,band ankhon se tere dil me,

Ghut rhi ,dum todh rhi hu .. ab main teri is mahfil me

Wapas kaise jaau ,na dagar ka pata hai,

Har shaks yaha hai jhuta,mukhauta chada hai

Seene me jo apne gunaaho ko chipa raha hai,

Phir bhi na jaane kyu aaj bhi dil sirf tujhi ko manta hai

Khadi hu aaj bhi vahi par,na raasta hai koi,

Kal jab mera ek aansun tha girta, tadap me uski tera dil bhi dukhta

Aaj jab ye aansun tere hi diye hai, to kyu inka tujko ahsaas nhi hai,

Dil to tera aaj bhi mujse anjaan nhi hai

Phir kyu aaj tu khaamosh hai e yaara,

Maana main teri vo chaahat na thi lekin

Tu jaane mere us pal ki pahchaan to tu hi hai,

Baahein bhi ab meri dam todhne lagi hai

Saasnein bhi ab meri thamne si lagi hai,

Goud ko tune meri apne phoolon se hai khilaaya

Muhj pagli ko hi tune hai apnaa banaaya,

Nanhe nanhe kadmon se kaha use leke jaau

Kaise ab e ishq main use Apna baanaon,

Janmdaata hai tu to teri is mahfil ka

Tu gyaani hai dharm ka,insaan jo sabse uncha.

Post a Comment

 
Top