Aansu nahi thamtey hain aankhon main abhi tak
Jaatey huey rota woh mujhe chhor gaya tha,

Armaano ki Duniya k anmol sey sapney

pal main woh mere saamney sab torr gaya tha,

Jaan deta tha meri her baat pe lekin yun hi

Besabab Duniya sey meri rukh morr gaya tha,

Dinn ki tanhayi ka gham, raaton ki udasi humraah

Saarey ghamon sey rishta mera jorr gaya tha....

Post a Comment

 
Top