Ek khawab sarhane rakh do na ,
Aaj mujh pe inayat kar do na,
Zara chupke se khamoshi se,
Tum izhare Muhabat kar do na.

Khud ko kar k dewana sa,
Mera payar amar tum ker do na,
Main pyas me dooba sehra hun,
Tum mujh ko sumandar ker do na.

Main yun hi phirta hon darbadar,
Tum khud ko manzil ker do na,
Meri ghazlen thori adhori hain,
Tum in ko mukamal ker do na,

Koi khawab Serhany rakh do na,.............

Post a Comment

 
Top