Mujhe na saans Aati hai na mera dam nikalta hai,
Magar ye beech ka aalam bohat takleef deta hai.

Samandar na nigalta hai na saahil per patakhta hai,
Magar ye doobna ubharna bohat takleef deta hai.

Jo tum bolo sanwar jayen jo tum bolo bikhar jayen,
Magar ye tootna jurna bohat takleef deta hai.

Jo tum maano tu batlayen jo tum samjho tu samjhayen,
Tumhare bin adhoora-pan bohat takleef deta hai............

Post a Comment

 
Top